11 मई 2009

सरकारी मुसलमान का मोदी छाप चुनाव प्रचार


मानवाधिकार कार्यकर्त्ता शबनम हाशमी का भाजपा के मुसलिम चेहरे और पूर्व केन्द्रीय मंत्री शाहनवाज़ हुसैन के नाम एक खुला ख़त. हाशमी में यह पत्र शाहनवाज़ हुसैन के चुनाव प्रचार के तरीके और गुजरात नरसंहार के तरीके की समानता पर लिखा है.


Syed Shahnawaz Hussain

Member of Parliament

Ex-Union Minister, Govt of Inida

7, Pandit Pant Marg

New Delhi-110001

E-mail: mail@shahnawazhusssain.com

shahnawaz @sansad.nic.in



Syed Shahnawaz Hussain Sahab,


Aapka khat mila, jo apne mer shauhar ke naam bheja hai. Malum kiya to pata chala ke poore apartment main aur kisi ke ghar nahi aya hai yeh khat. Shayad voting list se aise naam nikal kar jo musalman dikhte hoon unhi ko bheja gaya hai. Yeh to bhajpa ka purana pesha hai voting list se naam dhoondna aur malum karna kahan musalman, kahan isai aur kahan dalit rehte hain. Aaj yeh list aap vote mangne ke liye istemal kar rahe hain lekin inke kayee aur bhi istemaal hamne dekhe hain: chun chun kar ghar jalane main, hamla karne main, lootmar aur khoon kharaba karne main.

Aapne kamal ke phool ka button dabane ka agreh kiya hai.

Daryakhan gumbad ke relief camp main jab main ek pedit mahila ke sath baithi thi, uska dukh baant rahi thi tabhi ek boodhi aurat aye, safed dupatta uske sar par tha, umar takreeban 75 saal rahi hogi, muhn par churriyan thi usne aakar poocha ke kya aap widhwaon ko paisa de rahi hain. Isse pehle ke main jawab deti woh khud hi wahan se chahli gayee. Main uske peeche bahar bhagi lekin 5-6 hazar bachchon, boodhon, naujawanon ki bheed, jo us camp main tehri huyee thi, unke beech woh na jane kahan kho gayee. Maine bahut koshish ki lekin 30-40 minute ke baad bhi mujhe woh nahi mili.

Shayad woh kuch din pehle tak apne mohalle ke gareeb logon ke madad karti ho, shayad uske bachche, uska pati sab hi maar diye gaye hoon 2002 ke jansanhar main. Shayad uska poora gharbar loot liya gaya ho aur jala diya gaya ho. Shayad usne kabhi kisi ke age hath na phailya ho. Us din woh itni bebas thi ke ek ajnabi se paisa mangne aa gayee thi. Shayad use ek ajnabi se paisa mangne ki himmat jutane main ghanton lage hoon aur is liye hi woh jawab sunne se pehle hi wahan se chali gaye thi. Woh kisi ki maan thi, kisi ki nani, kisi ki dadi.

Zara soch kar dekhiye agar woh apki ma hoti to?

Us buzurg aurat ki aankhon ki bebasi mujhe aaj bhi sone nahi deti . shahnawaz sahib mantri to aap zaroor ban gaye bhajpa ke lekin yeh aapne kaise soch liya ke hamare jaise log un bebas ankhon ke sath aapki tarah gaddari kar sakte hain?

ek Hindustani aur ek sarkari musalman hone ka farq shayad aap nahi samjhenge.

Shabnam Hashmi

कोई टिप्पणी नहीं:

अपना समय